Wednesday, 1 January 2025

My Wanderings 121. My Urdu Nazam. 6 Mai Maa Ko Kaise boolu

Woh mera dil woh meri jaan , woh meri piyari Ammi Jaan , Usko  mai kaise boolu

Woh mera deeno dharam imman , uske  mujpar kayee  ehsaan, Mai  maa ko kaise boolu.

Woh meri azmat meri Shaan, Maa  ka sab se bada muqam, usko Mai kaise boolu

Maa mere wajood ka aagaaz, jis  par hai mujko bahut hi naaz,  usko mai kaise  boolu.

Woh meri tarbiyat ka raaz, aur meri  shakhsiyt ka  saaz  , ussko Mai kaise boolu.

Uska dil labrez  mahobat se , woh   Bara  pymana  shafkat se , usko mai kaise
 boolu.

Yeh meri Hayat uski inayat hai aur uska khayal meri ibaadat hai, mai usko kaise boolu.

Mere Bachpan ke betuke sawaal aur Maa ke  maqool jewab , mai usko kaise boolu.

Jab  zindagi meri bani bawal , Maa ne rakha mera bahut khayal, Mai usko kaise boolu.

Maa meri Rahmat ki tasveer  , Maa mere Har gam ki taseer , usko mai  kaise boolu.

Maa kaise utaroo karz  Teri  ulfat ka , Utni meri hasiyat hi  kahan ,mai Maa tumko  kaise boolu.

Yeh mere  Shero sukhan ki bhol   ,   hai tere hi kadmoo ki dhool , maa  mai tujko nahi boola. 













No comments:

Post a Comment