Thursday, 30 January 2025

My Wanderings 132. Urdu Nazam 16. Raze Taskeen

My Waderings 132

Urdu Nazam 16

Raze Taskeen 

Ehsan manta hoo tera Mai  , too  ne diya   bahut kuch
Shukriya bahut tmmhara, bin mange he mil gaya hai  sab kuch.

Taskeen se labrej hai dil mera aur sakoon mujpar  hai  tarri.
Sab kuch mila hai mujko aur ab  gila karne ki  nahi hai  Barri.

Gilla karoge us se  tum  to  kuch bi na
 hoga hassil 
Jo kuch  diya hai us ne , us se   bi rahoge  gafil. 

khush rehna hai duniya Mai to kaboo Kar lo khwahishoo ko. 
Sakoon hoga tum ko hassil  ,zaabite Mai rakho inn hasratoo ko.

Thode Mai hi khush rehne ki apne andar aadat dalo 
Khwahishiat  be intiha hoti hai yeh hadd Mai hi Palo. 

Jitna bi dil se  ehsaan  manoge uski shafkat ka 
Utna hi  Ghar bar dega  woh apka badi  barkat se. 

Khanna dastarkhwan par saja ho aur ek chatt ho sar dakne ke liye.
Is se zyada aadmi ko darkaar hai  kya  zindagee basar karne ke liye.

Jab farmaan aayega uska ek pal ki mohlat  woh na dega.
Saath apne  kuch bee na  le sakoge sab kuch yanhee  Darra rehega.

Ehsanmandi ka apne andar aisa  shawoor paida Karlo
Jo kuch bi diya usne ,kabool Karke   uska shukriya ada Karlo.
rkkaulblogspot.com

No comments:

Post a Comment