Roshan khayali se wabasta hona chahiye har banda aur har bashar.
Khud ehsassi ka shawoor paida karna chahiye apne dilo jaan ke andar.
Uphak par Hota Hai jab jab ayyan woh noore Anwar.
Aatta hai mujko yeh ilhaam, shayad ho woh zahoore Mahshwar.
Bramha se lekar ek gass ke tinke tak basta hai uske jalwe ka hi Noor
Pehchanta hai usko wohi Jo jiwan mukht ho aur ho is game duniya se door.
Usko dekh sakte ho tum har bashar aur Har shay Mai zaroor.
Par chodna hoga tumhe har hall mai apna yeh Sara garoor.
Mai butt parast to nahi magar lagta hai har waqat mujpar yehi ilzaam
Muje har shay Mai aata hai nazar wohi chahiye butt ho ya insaan.
Kaise uss Noor se hoga mera Milan, yeh rehti hai meri justju.
Phir ussi ka jalwa aur shawoore axs aata hai nazar muje charsu.
Har jagah har simat aur Har taraf uska hi jalwa hai ayyan.
Hazaroo Aftab aur mahabh nahi Kar sakte hai uske Noor ko byaan.
No comments:
Post a Comment