My Wanderings 125
Urdu Nazam 10
Raze Kamyabi
kamyabi dekhti nahi Hai sirf tumhari salahyat aur Tera hunar.
Yeh tere behtar moqqe khojne ke Azam par bi hai munhasar
Behtar moqqe zindagi Mai har waqat mayusar nahi ho pate hai.
Yeh woh shay Hai Jo milte nahi hai balki paida kiye jate hai.
Apki kamyabiya aur nakamyabiya apki sonch se hi hai purassar .
Ab aap ki konsi sonch kitni mazboot hai wohi apko hai mayusar.
Bas tum barosa rakho apne aamal aur apni liyaqat par.
Takki kudrat tumhe tawfeek bakhshe aur Rahe Teri inayat par.
Apne ko Khud tarsi ka shikar na hone dena thodi see riyayat ke liye.
Khud aitmadi ka jazba paida karna zaroori Hai apni naveeyat ke liye.
Kamyabi kissi ko milti khairaat Mai ho bilkul bi nahi.
Tum pahla kadam to badao aur koshish Karo to sahi .
Kissi ko apne pe hawi na hone Dena aur kisi se mutasir na hona tab tak
Khud ehsassi ke zariye se hi Bana Lena zaroori Hai apna Mantak.
Kudrat ne tumhe itnee Kuwat se nawza hai , Ramesh
Tum apni kismet ko bee apne aamaal se Badal sakte ho.
rkkaul.blogspot.com
No comments:
Post a Comment