Tuesday, 7 January 2025

My Wanderings 123 My Urdu Nazmo Ghazal 8 Khwabe sehar

Woh shok nazare aur  dilkash adaayain  woh  shadab rukhsaar aur woh nigahe 

nazuk thi itni   badan kampe thar thar
rangat thi aisee jaise ho  sange marmar

Guftaar Mai uske  bebakiyaan thi.
Magar lahje se  bahut hi naram thi 

Woh uskee zahanat , aur hazir jawabi 
Dilafroz  Tabiat aur shaane nawabi 

Dil jeetne ke hunar mai  woh thi mahir
Aur Nazakat thi uski latafat se Zahir. 

Woh shano.showkat aur Rangeen mehfil
Uski ranayiyu so koi rah.saka na gafil.

Besakhtagi se woh khwab mai maire  roobroo  thi 
Mere tasuvur se milti bahut garz hoobhoo thi 




















No comments:

Post a Comment