My Wanderings 122
Urdu Nazmo Ghazal 7
Gamme Furkat
Tumse milne aur tumhe paane kee umeed, bahut Kam ho balle .
Par Yeh kya Kam Hai ki rehte hai ham, ek hi aasmaan ke talle.
Tum se koi umed na rakhi aur na koi bi shikayat hai muje
Ek hi zameen Par hai rahte is se aur kya zyada chahiye hamme.
Teri hijrat Ke gam ne muje bahut sataya hai kai barsoo.
Doondta rahta tha Mai tumko Har Shahar, har Gali aur harsu.
Tuje pane ki hasrat ne rulaya hai muje bahut, tab tak .
Mere shavoor Mai tangnazri ka ehsas tha, jab tak.
Jab kissi raat Chand ko dekhta hoo Mai , bahut fursat se.
Bhool Jata hoo Sab ,aur riha Hota hoo, gamme furkat se.
Tum bi to isi Chand ko dekhkar, Shayad muje yaad karti hogi
Yeh ganeemat hai ki tum bahut door nahi,
mujse kabi to milogi.
Ab yeh aalam hai ki kissi Baat ka gam, muje satata nahi betahasha
Khush rehta hoo Mai apne hall se, aur kudrat ki har shay se hamesha.
rkkaul.blogspot.com
No comments:
Post a Comment