Aur Mere sare dost, ahle ahbab sab mujse bichadne lage hai .
Ruswa hue Hai rishte aur dost bi rang Badal Rahe Hai.
Kuch bi hua na hassil, bas sab door ho Gaye hai.
Yeh sab Taraqi aur kamyabi ke zamni asraat hai
Aur aapsi hodd kee wajah ki yeh badi karamaat hai .
Keh do in asayishoo se kanhi door ja ke
Barse.
Mere sare apne mujse milne ko kabi na
tarse.
Hamne Hassil Kiya bahut kuch ,par skoon hua na hassil .
Dil rekhta ho chuka hai, aur nahi hai umed Kaise ho yeh basil.
Zaati masaloo Mai hi iss kadar mulawis aur masroof hai ham.
Milne ki fursat kssi ko nahi hai, chahiye toot hi Jaye yeh dam.
Sirf apnoo ke rutbbe aur ohdde se hi, Bana lette hai pehchaan ham.
Rakhte nahee kabi koi lihaaz, apne dosti ya aashnai ka ham.
Apnoo ki Nukht-chini aur munafikat se Bana hai hamara kirdaar.
Ban sake na ham kabi kissi ke hamdard ya gamgussar.
Kafile ruk Gaye hai aur phasle bad chuke hai, Ramesh
Koi rastoo ko kaise khoje , manzilain door ho gyee hai.
No comments:
Post a Comment