Wednesday, 15 January 2025

My Wanderings 126. Urdu Nazam 11. Raze Akhlaqyat

Behboodiyoo Mai na raho tum  itna bi bahut  magroor.
Barbadian be phir peecha karti hui aati hai zaroor.

Chahiye kitni bi udaan barne ki Himmat tum Mai  ho magar.
Tum zameen se Jude ho aur kadam bi rakhna zameen Par.

Pesh aawo Saboo se  tum badi khush asloobi se.
Darde dil rakho sambale tabiyat Mai  bahut khoobi se.

Khud pahal Karo milne ki sab se chhod ke yeh Sara garoor.
Warna reh jaoge Akele hi ,chahiye kitne bi ho mashhoor.

Kuch hasil nahi Hota karne se daleelo par takraar. 
Jeet jate ho daleelai aur kho dete ho apne
Kareebe yaar.

Malo zar Kitna bee sameto,  akhir yeh duniya   Phani hai.
Ek saans ruk jayegi Bande ki to yeh sab be mani hai. 

Utna hi kamawo imaan se zindagi Mai jitna ho darkaar.
Aur kuch zyada Kamaoge to woh sab Karo khairaat. 

Khak se hi bane ho aur hona bi tumhe hai  akhir  purkhak.
Khatam honge tere sab fasane aur reh jayenge bas tere ikhlaq.











No comments:

Post a Comment