Sunday, 29 December 2024

My Wanderings 120. My Urdu Nazam aur Ghazal 5. Woh raakh muje lota do

Woh mere  purkhoo  ki jageer, woh Mera  poora Kashmir, muje lota do.

Woh meree virasat Mera khwab, woh Mera chodvi ka mehtaab, muje lota do.

Woh meree zameen woh meri jaan, jise kahte the Sharda Dhaam  , muje lota do.
Woh meri virasat Meree taqdeer jisme  rahte the sant faqeer , muje lota do.

Woh Kashyap Rishi ka basaya Shahar, Jo kahlata tha kashyapmar, muje lota do.

Jahan Abinavgupt ne diya  Shiv ka gyan , jisko mana poora Hindustan,muje lota do.

Jahan Adishankar ko mila tha Shakti ka poora  gyan, woh Kashmir muje lota do.

Jehan rehta tha Pandit Rishipeer , jisne Aurangzeb ko di thi maat , mujo lota do

Woh mere khet mere khalyan, woh  seboo aur akhrotoo ke bagaan, muje lota do.

Woh mera khir bhawani ka asthaan Jo tha Mera   dil aur jaan, muje lota do. 

Woh shankaracharya ka Mandir aur woh Hari Parbhat ka asthan,  muje lota do.

Woh mere barfani Baba jisse kehte hai Amarnath , muje lota do.

Woh mere  vitasta ke sundar ghat, jehaan par the mere Mandir aur Makan, muje lota do 

Meri  khoyee huyee woh saakh, mere abao ajidad  ki raakh, muje lota do.

Woh mere khwaboo ki tabeer , jise kahte hai Kashmir, muje lota do .






No comments:

Post a Comment