Wednesday, 25 December 2024

My Wanderings 117 My Urdu Nazam. 2. Ehsasse Khudi

My Wanderins  117

Urdu Nazam   2

Ehsasse khudi

Khilwat Mai baithkar, Mai talashta raha  apne wajood ko.
Bahut sonchkar bhi, Mai haqeeqat se kabhi roobaru na hua .

Muje garoor Tha  ki Maine pada Hai bahut roohaniat ka adab.
Mai apne vajood aur khudi  ko  doondne ki pooree Karu talab.

Maine lakh  koshish ki ,magar kamyabi haasil na  Kar paya. 
Mai  mayoos hokar, ye khayal  bhoolne ke liye majboor ho gaya.

Magar ek din vedant aur upnishidoo se  Mera twaraf mere ustaad ne karaya.
Phir maine  vedant  aur upnishidoo ka bahut hi mustadi se Kiya mutala.

Vedant Ne mairee sonch ko sanwara, upnishid ko Maine apne zahan Mai utara.
Iss apni virasat se  Mai behad kayal hua aur muje khud ehsasi ke shawoor ne nikhara.

Woh Vahid hai, beshakl hai, aur mojood Har simt hai uska nishan.
Woh ek shawoore aks  hai jiska Jalal Zare  Zare  Mai hai Ayan.

Woh be- iftida aur  be- intiha hai , woh lafani hai, aur uska  na koi bi Ayaam. 
Uske hukum se hi chalta hai yeh zameeno, aasman  aur sari kaynat ka Nizam.

Mai jisko  doondta raha beyahbanoo aur kohsaroo mai uska to mere andar hee  chupa hua  hai haraf.
Kudrat to ek shwoore aks Hai Jo Bramha se lekar ek gaas ke tinke  tak  Jalakta Hai Har simat Har taraf .

Mai to ek insaan hoo, mere dil mai bi, woh shawoore aks karta hoga guzar.
Mujmai bhi phir kudrat se us aks ke zarye pehchan banane ka hua Assar.

Muje  maloom hua Mai na yeh jism hoo aur na yeh zehan ,na akal aur na yeh  garoor .
Mai to hoon in sab se pare aur usi Param Brham ka shawoore aks hoo, aur bahut purnoor.

Phir bahut koshishoo aur nakamiyabiyoo ke bawajood , ek kamyabi muje  nazar aayee.
Tab se muje, mujme hi nahi Har bashar aur Har shay  Mai usee ke aks ki  jalak ayee.

Usi ka aks dikhta hai pedoo Mai  aur podoo Mai, wohi dikhta Hai mujko  jungle Mai kohesaroo Mai.
Wohi dikhta Hai chaman Mai aur Gulshan Mai. Usi ka aks dikhta Hai beyahbanoo aur registanoo Mai. 

Wohi dikhta Hai Darya aur Samandar Mai. Usika aks ayan Hai Suraj ,Chand ,taroo mai
zameen Mai hai wohi   , aasman mai  bhi hai  wohi  , iss  dil mai hai wohi ,iss jaan Mai bhi  hai wohi  . Garz yeh ki  Poore kaynaat Mai hai wohi .

Mai gaflat Mai pada Tha, mujko Pata nahi Tha, Mai kon hoo aur kisliye is duniya Mai aaya. 
Vedant ne muje  sikhaya , upnishadoo  ne  bataya  ,  sab Gaflatoo se mujko  ubara .

Pehchan mil Gayee  jab  se mujko, uss banda Parvar ka.
Muj Mai hua hai  tab se gayab  yeh ehsase kamtari ka.

Mai to samaj  gaya hoo,Tu parambrahm hai , aur Mai  Tera hi hoo bahut hi  Adna sa ek  Hissa.
Ab bas yehi hai hasrat Kab miloo mai  apne dilbar se aur Khatam ho duniya  Mai  aane jaane  ka kissa.
rkkaul.blogspot.com

 .

No comments:

Post a Comment