Saturday, 28 December 2024

My Wanderings. 119 My urdu Nazam 4. Meri Ghazal

My Wanderings 119

My Urdu  Nazams Ghazals 4

Husne Ghazal

Woh bahut purassar aur purnoor chehra 
Jo  badi massomiyat  se  Bara Tha 
Laboo pe  tha uske Tabassum ka jalwa
Magar shaksiyat Mai takaluf ka pehra .

Woh behtar   sleeke  ki tarbiyat si 
Aur tabiyat Mai  uske bahut sadgi  thi 
 Badi sansani uske guftaar  Mai Thee
Jaise Chupa ke Rakha tha  raaz Gehra .

Dil  se uske chalakti thi shafkat 
Rukhsaar aise ki ho maye ke piyale 
Dantoo ke  badlay  moti jadde the 
Ankhain  thi aise ki ho jeel  thahra.

Hasiyat  thi uski mahobat se labrez
Hoonto se phoot-ta Tha Tarannum
Ehsass Mai tha bahut hi  tawazun 
Kesuvoo ka rang  bi Tha   Sunhara .

Woh ped  se lipti hui nazuk  si  dalli
Magar khud se uthne ki takat nahi thi 
Dil mai the uske hazarroo hee nagme 
Magar gungunane ki Himmat pe parda .

Bahut usme nafasat ki taleem bhi thi
Woh banna bigadna aur phir sambhalna  Bahut us pe nakadoo ki bhi nazar thi
Magar Maine usko Har nazar se ubara.

Woh besakhta aur  bebaak nazre 
Diloo Mai Chalati thi jaise woh nasthtar 
Muje be bahut dilbari uss se hui  thi 
Magar Hadd se nikalne ki jurat se hara .

Badi hasratoo se Maine usko sanwara 
 Aur mushkiloo se zahan se utara 
Woh koi nahi meri pehli ghazal thi 
Meri  thakhleeq ka tha  wohi ek dehra .

Woh kaisa waqat  aur kaisee gadhi   thi
Ghazal dool par  aise giri thi, jaise koi phool ho shakh se .
Ramesh, Kanhi yeh Sheikh  ka hi karm to nahi Tha.
Jisney behatasha usko  kaha tha ki parda Karo.
rkkaul.blogsotcom

No comments:

Post a Comment