Wednesday, 25 December 2024

My Wanderings 118. Urdu Nazam 3. Raze Vehdat

Jab se  meri pehchan Mai hai aaya ,  woh purnoor brahman.
Bahut  shadmaan hai  tab se mere dil ki unjman .

Aur Jab se pilaya Hai  usne muje  jaame ulfat 
 sarshar hoo Mai  tab se jaan kar uski azmat.

 Bahut hi  mushkil  hai samjna  yeh raa
ze  vehdat.
Mai bi wohi hoo yeh ehsas karta hai koi khush kismet .

Kaise Bayan karoo Mai  uske dil mai Kitni hai  shafkat.
Shadab hai har shay aur  har bashar aesi  hai uski Rahmat. 

Jisko khud Shinasi ke  ehsas se  twaruf Hua hai 
Wohi zindagi aur duniya  ke Har raaz se wakif hua Hai .

Adi shankar ne  bola shivoham , aur sab  se azeem se banai  apni  pehchan.
Ashtavakr ko bi  to aata Tha nazar Har  bashar aur Har shay Mai bagwaan.

Abhinav Gupt ne  shivstotra ka Kiya mutala 
Woh bi adait ved  hi Tha,  jiska usne  Kiya khulasa.

Mansoor bi vehdat se  Pur assar tha , jab usne analhaq ka nara lagaya.
Magar jahiloo ne usko  kafir  samajkar,  badi berahmi se sooli pe Chadaya.








No comments:

Post a Comment