Tuesday, 29 April 2025

My wanderings 152. . Urdu Ghazal 36. Mere Mahboob

Teri janib jab uthi nazar meri aur Teri nazar se ja takrayee.
Aise lagta hai jaise mere dil ke Gulshan Mai  bahaar aayee.

Woh Tera  masoomiyat  aur tabassum se khila chehra
Aankhe aisee ki jaise neele panni se Bara ho jeel gehra.
Tere kesoo meree sookhee zindagi mai gatta ban ke chayee.
Teri janib jab uthi nazar meri aur Teri nazar se ja takrayee.
Aise lagta hai jaise mere dil ke Gulshan Mai  bahaar aayee.

Honth aise ki aapas Mai lipti hui Kamal ki do kaliyan.
Daant aise ki  sippi se nikali safed moti ki do ladiya. 
Tu mere soone dil mai mahobat aur skoon ka  paigaam layee.
Teri janib jab uthi meree nazar aur Teri nazar se ja takrayee.
Aise lagta hai jaise mere dil ke Gulshan Mai bahaar aayee.

Tere shaksiyat ke woh dilnasheen aur dilafroz anadaz .
Tera  alhadd baankpan aur  badan nazuk  aur  gudaz.
Tu mere dil ke Har goshe aur  Har simat mai hai samayee.
Teri janib jab uthi meree nazar aur Teri nazar se ja takrayee.
Aise lagta hai jaise mere dil ke Gulshan Mai Bahaar aayee.

Tera dil shafkat se labrez aur mahobat  se barpoor. 
Tere rukhsaar hai imaan aur sadakat se purnoor.
Too Sachayee ki moorat ban ke mere zindagi mai hai ayee.
Aise lagta hai jaise mere dil ke Gulshan Mai Bahar aayee.
Teri janib jab uthi meree nazar aur Teri nazar  se ja takrai.




















No comments:

Post a Comment