Wednesday, 16 April 2025

My Wanderings 150. Urdu Nazam 34. yeh Rishte

Kabi kabi rishte lafzoo se nahi balki khamoshi se toot jate  hai.
Aur kabi  mitti ke bartan girne se nahi.    balki khud se toot jate  hai.

Jo khamoshi se toot te hai rishte woh kabhi jud  nahi  pate hai.
Aur jo mitti ke bartan khud toot te hai unko koi jod nahi pata hai.

Dil bee kya shay hai awaaz kiye Bina hi toot  jata  hai yeh aksar.
Mahobat karne waloo so poochye  unse  kon Janta hai yeh  behtar.

Barhah mahobat zuban se nahi aankhoo se Ayaan hoti hai.
Yeh woh shay hai Jo amooman khamoshi se bayaan hoti hai.

Jab sab ne aapka saath chod diya ho aur sirf ek aapke saath Chale.
Tum samaj Lena woh  tum se he mahobat Karta hai laga lene usko gale.

Uss ke saath kabi rishta na banana Jo  apki parwah se darre.
Wohi apse mahobat karta hai Jo har hall mai apki parwah karre.

Jab toot te hai rishtey to woh pul bee toot te hai aksar, jahan se apko guzarna hai.
Phir kai sadiyaa lag jaati hai woh pul naye
banane aur rishte phir sanwarne mai.

Kabhi  rishtoo mai aadmi Heera gwankar pathar jamah karne mai lagta hai 
Asal Heera pehchan kar koi aam  pathar jamah karne se parhez karta hai.

Yakeenan yeh rishte iss duniya Mai  Bahami taur pe hee chalte hai.
Mahobat ka izhaar karoge  kissi se to mahobat ke hi jawab milte hai.



No comments:

Post a Comment