My Waderings 132
Urdu Nazam 16
Raze Taskeen
Ehsan manta hoo tera Mai , too ne diya bahut kuch
Shukriya bahut tmmhara, bin mange he mil gaya hai sab kuch.
Taskeen se labrej hai dil mera aur sakoon mujpar hai tarri.
Sab kuch mila hai mujko aur ab gila karne ki nahi hai Barri.
Gilla karoge us se tum to kuch bi na
hoga hassil
Jo kuch diya hai us ne , us se bi rahoge gafil.
khush rehna hai duniya Mai to kaboo Kar lo khwahishoo ko.
Sakoon hoga tum ko hassil ,zaabite Mai rakho inn hasratoo ko.
Thode Mai hi khush rehne ki apne andar aadat dalo
Khwahishiat be intiha hoti hai yeh hadd Mai hi Palo.
Jitna bi dil se ehsaan manoge uski shafkat ka
Utna hi Ghar bar dega woh apka badi barkat se.
Khanna dastarkhwan par saja ho aur ek chatt ho sar dakne ke liye.
Is se zyada aadmi ko darkaar hai kya zindagee basar karne ke liye.
Jab farmaan aayega uska ek pal ki mohlat woh na dega.
Saath apne kuch bee na le sakoge sab kuch yanhee Darra rehega.
Ehsanmandi ka apne andar aisa shawoor paida Karlo
Jo kuch bi diya usne ,kabool Karke uska shukriya ada Karlo.
rkkaulblogspot.com