Aise lagta hai jaise mere dil ke Gulshan Mai bahaar aayee.
Woh Tera masoomiyat aur tabassum se khila chehra
Aankhe aisee ki jaise neele panni se Bara ho jeel gehra.
Tere kesoo meree sookhee zindagi mai gatta ban ke chayee.
Teri janib jab uthi nazar meri aur Teri nazar se ja takrayee.
Aise lagta hai jaise mere dil ke Gulshan Mai bahaar aayee.
Honth aise ki aapas Mai lipti hui Kamal ki do kaliyan.
Daant aise ki sippi se nikali safed moti ki do ladiya.
Tu mere soone dil mai mahobat aur skoon ka paigaam layee.
Teri janib jab uthi meree nazar aur Teri nazar se ja takrayee.
Aise lagta hai jaise mere dil ke Gulshan Mai bahaar aayee.
Tere shaksiyat ke woh dilnasheen aur dilafroz anadaz .
Tera alhadd baankpan aur badan nazuk aur gudaz.
Tu mere dil ke Har goshe aur Har simat mai hai samayee.
Teri janib jab uthi meree nazar aur Teri nazar se ja takrayee.
Aise lagta hai jaise mere dil ke Gulshan Mai Bahaar aayee.
Tera dil shafkat se labrez aur mahobat se barpoor.
Tere rukhsaar hai imaan aur sadakat se purnoor.
Too Sachayee ki moorat ban ke mere zindagi mai hai ayee.
Aise lagta hai jaise mere dil ke Gulshan Mai Bahar aayee.
Teri janib jab uthi meree nazar aur Teri nazar se ja takrai.