Berukhi itni baddi hamko bulaya hi Gaya.
Ham to muntazir rahe aksar unke bulawe ke liye
Woh bulate ham ko sirif ek baar dikhawe ke liye.
Kya kare ham ko Khud se phir jaya na Gaya.
Hamse jaya na Gaya hamko bulaya na Gaya.
Yeh ranjishe kaise baddi hamko maloom na tha.
Per yeh mokka tahkeek ke liye maqool na tha.
Phir koi mokka dubara hamare haath na aaya.
Hamse jaya na Gaya hamko bulaya na Gaya.
Woh pesh aate rahe ham se badi khush asloobi se.
Kyaa patta tha kho denge ham Jo mila tha khush-naseebi se.
Hamse ulfat ka Geet phir se gaya na gaya.
Hamse jaya na Gaya hamko bulaya na Gaya.
Hamari uljhan thi Woh bulate ,unhe gumaan tha ham khud hi aate.
Issi Anna ki wajah se hamne guzari tanhaiyee mai hi tamam ratain.
Unse bhi soze dil phir se sunaya na Gaya.
Hamse jaya na Gaya hamko bulaya na Gaya.
Berukhi itni badi hamko bulaya hi Gaya.
No comments:
Post a Comment