Sunday, 4 May 2025

My wanderings 154. Urdu Nazam 38. Isheqe Nakamyabi

Maine teree mahobat ki wajah se  khasara uthaya hai bahut.
Per mere Ishaq ke junoon ne Tere husan ko  nikhara  hai bahut .

Maine wada nibane  kee khatir Tera  intizaar  Kiya hai bahut.
Too ne  badi berahmi se  har waqat  sataya  mujko  hai  bahut . 

Yeh meree sadgi thi ki mai  Teri zulfoo mai giriftaar huwa 
Apni ranayiyoo se too ne muje  zere hirassat mai liya.

Mai sunata raha tumko dastane Alf Laila Jo bahut thee maqbool.
Too ne meree har iltija  ko kissi halat mai  kiya tha  na  qabool.

Mai batakta raha sarri duniya Mai aur jab wapas  aya Teri janib.
Ek bhoola Jo bataka hai din bar aur  sham ko Ghar Lotne ke manid.

Maine har ilzaam apne sar pe liya aur hone na diya tumko badnaam.
Too ne iss kadar Kiya mujse kinara aur 
Kar ke rakha mujko gumnaam.

Yeh  kaise halaat mai tune muje ab 
Chod diya hai.
Maire sarre par kattar kar too ne muje azaad Kiya hai.







No comments:

Post a Comment