Tuesday, 8 April 2025

My Wanderings. 149. Hindi Bhajan. Jai Shri Ram


Tuj mai Ram muj Mai Ram Jai Ram Jai Ram Jai Siya Ram 
Bharat ke Kan Kan Mai  Ram Jai Ram Jai Ram Jai Shri Ram.

Karitav nishta, dradd Nishchay aur Kiya apne maat pitta ka samman.
Naam pada jis kaaran poore bharat Mai aapko  Maryada Purushottam Ram .
Tuj mai Ram muj mai Ram ,Jai Ram Jai Ram Jai Siya Ram.

Shri Ram chander  ke aastitav ke bharat Mai hai prabal pramaan.
Jinme pramukh Ramsethu aur Ram janam Boomi ko mera Pranam.
Tuj mai Ram muj mai Ram Jai Ram Jai Ram Jai Siya Ram.

Jab karte hai aapas Mai ham  abhinandan to kahte hai 'Ram Ram' ya 'Jai Shri Ram'.
Kitna pavan hai yeh naam , Jai Ram Jai Jai Ram Jai Shri Ram.
Tuj mai Ram muj Mai Ram Jai Ram Jai Ram Jai Siya Ram. 

Jab koi vipada mai pada ho to uske munh  se nikalta hai 'Hey Ram.'
Sare kaam taj  ke uski vipda harne ko aate hai piyare  Shri Ram .
Tuj mai Ram muj mai Ram Jai Ram Jai Ram Jai Siya Ram. 

Jab desh mai uchh vevastha ho to kahte hai sab usko 'Ram Raj.'
Sabke kaaj sanwarte  hai jab simhasan per baithe ho Raja Ram.
Tuj mai Ram muj mai Ram Jai Ram Jai Ram ,Jai Siya Ram.

Jab aisee avshadee mile Jo sab viyadiyoo
Ka ant kare Kahte hai usko 'Ram Bhan'.
Sab dukh aur dard mit jaate hai jab lette hai Apne Prabhu  Sri Ram  ka  naam.
Tuj mai Ram muj mai Ram , Jai Ram Jai Ram Jai Siya Ram.

Jab koi Manav  tyagta hai shareer to sab kahte hai ' Satya hai Ram naam'.
Yeh pratha prachlit hai  ki Ram naam lene se pahunchega  woh paramdham.
Tuj mai Ram muj mai Ram , Jai Ram Jai Ram , Jai Siya Ram 

Ram hi shreshta , Ram hi dreshta Ram naam hi hai  Param gyan 
Ram ke aastitv se hee bana hai yeh bharat varash  mahaan.
Tuj mai Ram muj mai Ram ,Jai Ram Jai Ram Jai Siya Ram. 
Bharat ke Kan Kan Mai  Ram Jai Ram Jai Ram Jai Shri Ram.



















No comments:

Post a Comment