tahreeroo mai bayan karte hai.
Per Har ek baat pe logoo se daleeloo pe takrar nahi karte hai.
Kuch log to itne mahire bahas hote hai ke Har baat pe karte hai takrar.
Yakeenan Jeet jaate hai woh takrar per kho dete hai apne kareebee yaar.
Unke liye bahas jeetna ek garoor ka sabab ban jata hai aksar.
apni Galti jaan kar bee who takrar karne mai rakhte nahi hai koi kasar.
Kai baar unka rakeeb apne dil mai unhe samajne lagta hai jahil.
Per uska garoor apni Galti kaboolne ko usko nahi karta hai mayil.
Apni galti lage to kabool karlo aur koshish Karo karne kee usko sahi.
Sabit hue tum durust to yeh nahi kahna ki pahle se hi ham kehte the yehi.
Takrar ki zaroorat hoti hai jab kissi ke saath Hota nahi hai insaaf.
Ya hakoomat koi aisa chalaye jiske nek nahi hote hai awsaaf.
Khamkhah Har baat pe takrar karne ki koi zaroorat to nahi hai hamko.
Nek rakho apne aamal kissi se uljne ki zaroorat to nahi hai tumko.
Ahle nav ki nayi fasloo se yeh guzarish hai hamme aksar .
Bahas mai padne se kuch kar ke guzar Janna hai behtar.
No comments:
Post a Comment