Tuesday, 18 March 2025

My Wanderings 145. My Urdu Nazam 29. Dosti aur Dushmani

Apni shakhsiyat mai itna tawazun to  Bana lijiye.
Dushman ko bhi gale se lagane  se  parhez na kijiye. 

Hamesha apne dushmanoo ko maaf  karte rahiye 
Iss se  aur zyada tum unhe pareshan      na  Kariye. 

Dushmanoo ko nafrat  karne ke liye  thoda waqat zaroor deejye
Yeh karne se tum apne khilaf sarri nafrato  ko  khatam keejye.

Akhirkar tum  apne dostoo ki batain aur unkee awaz yaad karoge. 
Aur dushmanoo ki sirf khamoshi ke siva  kuch bi nahi yaad rakhoge. 

Dosti nibate jawo tum har mushkil aur  har Soorat mai
Dushmani nibhane ki tumhe  koi  nahi  zaroorat  hai. 

Dushmanoo ko dost banana  abhi se sharoo kar sakte ho.
Yeh tarkeeb apna ke  tum  Sabi dushmano
ko fana kar sakte ho. 

Zindagi ke kashmukashoo ke  akhri padav par kuch thahrav  dena chahiye .
Umar bar ke dushmanoo ko aage badkar dosti se sairaab karna chahiye.

Akhri waqat mai agar tum saath lekar  kuch nahi ja sakte ho .
To dushmani ko saath lekar bi kya hasil  kar sakte ho.


No comments:

Post a Comment