Saturday, 15 March 2025

My Wanderings 143. Urdu Nazam 27. zindagi ke Marhale

Guzar rahi Hai yeh zindagi meree   sirif  
hareefoo mai.
Koi Bandha nazar nahi  aatta hai  ab  shareefoo  mai.

Sach likhne  pe chadaya hai adeeboo ko saleeboo pe.
Zinda dafnaya  gaya hai rafeekoo ko rakeeboo nai.

Baar hah zulum kiye hai ameeroo ne 
gareeboo pe.
Ilzaam lagaya  hai hardam gareeboo ne naseeboo pe.

Zeb deta nahi  hai  mureedoo ko sikhana murshadoo ko .
Aib Hota nahi hai  Zahir koi Kitna bee nikale arshadoo ko.

Jisko ek  saddi mai bekali kahte hai woh doosree saddi ki akkal hoti hai.
Jo pahle karta hai woh adda hai aur baad mai karre koi woh nakal hoti hai. 

Muje piyala dene se pahle bahut Der tak  sonch raha  tha sakki.
Shayad woh yaad kar raha  tha mera koi hissab to nahi hai  bakki.

Bahut  kuch seekhne ke baad   apne  shayaroo aur shafikoo se.
Mila  saka  na  mai  Umar bar  apnee  zindagi ke kafiye radeefoo se.

Vazan kuch bi  Hota nahi hai  dunyavi faydoo mai .
Kaafi seekh leta hai bashar apne tajrube ke kaydoo se.

Kamyabi hi sirif zindagi ka koll nahi ho saktee  hai. 
Khush rehna bi zindagi ko bada Mol de  saktee hai. 


















No comments:

Post a Comment