My Wanderins 117
Urdu Nazam 2
Ehsasse khudi
Khilwat Mai baithkar, Mai talashta raha apne wajood ko.
Bahut sonchkar bhi, Mai haqeeqat se kabhi roobaru na hua .
Muje garoor Tha ki Maine pada Hai bahut roohaniat ka adab.
Mai apne vajood aur khudi ko doondne ki pooree Karu talab.
Maine lakh koshish ki ,magar kamyabi haasil na Kar paya.
Mai mayoos hokar, ye khayal bhoolne ke liye majboor ho gaya.
Magar ek din vedant aur upnishidoo se Mera twaraf mere ustaad ne karaya.
Phir maine vedant aur upnishidoo ka bahut hi mustadi se Kiya mutala.
Vedant Ne mairee sonch ko sanwara, upnishid ko Maine apne zahan Mai utara.
Iss apni virasat se Mai behad kayal hua aur muje khud ehsasi ke shawoor ne nikhara.
Woh Vahid hai, beshakl hai, aur mojood Har simt hai uska nishan.
Woh ek shawoore aks hai jiska Jalal Zare Zare Mai hai Ayan.
Woh be- iftida aur be- intiha hai , woh lafani hai, aur uska na koi bi Ayaam.
Uske hukum se hi chalta hai yeh zameeno, aasman aur sari kaynat ka Nizam.
Mai jisko doondta raha beyahbanoo aur kohsaroo mai uska to mere andar hee chupa hua hai haraf.
Kudrat to ek shwoore aks Hai Jo Bramha se lekar ek gaas ke tinke tak Jalakta Hai Har simat Har taraf .
Mai to ek insaan hoo, mere dil mai bi, woh shawoore aks karta hoga guzar.
Mujmai bhi phir kudrat se us aks ke zarye pehchan banane ka hua Assar.
Muje maloom hua Mai na yeh jism hoo aur na yeh zehan ,na akal aur na yeh garoor .
Mai to hoon in sab se pare aur usi Param Brham ka shawoore aks hoo, aur bahut purnoor.
Phir bahut koshishoo aur nakamiyabiyoo ke bawajood , ek kamyabi muje nazar aayee.
Tab se muje, mujme hi nahi Har bashar aur Har shay Mai usee ke aks ki jalak ayee.
Usi ka aks dikhta hai pedoo Mai aur podoo Mai, wohi dikhta Hai mujko jungle Mai kohesaroo Mai.
Wohi dikhta Hai chaman Mai aur Gulshan Mai. Usi ka aks dikhta Hai beyahbanoo aur registanoo Mai.
Wohi dikhta Hai Darya aur Samandar Mai. Usika aks ayan Hai Suraj ,Chand ,taroo mai
zameen Mai hai wohi , aasman mai bhi hai wohi , iss dil mai hai wohi ,iss jaan Mai bhi hai wohi . Garz yeh ki Poore kaynaat Mai hai wohi .
Mai gaflat Mai pada Tha, mujko Pata nahi Tha, Mai kon hoo aur kisliye is duniya Mai aaya.
Vedant ne muje sikhaya , upnishadoo ne bataya , sab Gaflatoo se mujko ubara .
Pehchan mil Gayee jab se mujko, uss banda Parvar ka.
Muj Mai hua hai tab se gayab yeh ehsase kamtari ka.
Mai to samaj gaya hoo,Tu parambrahm hai , aur Mai Tera hi hoo bahut hi Adna sa ek Hissa.
Ab bas yehi hai hasrat Kab miloo mai apne dilbar se aur Khatam ho duniya Mai aane jaane ka kissa.
rkkaul.blogspot.com