My Wanderings 158
My Urdu Nazam 41
Raze Khairaat
Shayad iss baat pe tum kuch hairaan
ho javoge.
Jitna khairaat karoge, uss se zyada hi pavoge.
Ache log iss duniya Mai rahkar bahut kamate hai.
Aur dene walle shayad kuch badkar hi paate hai.
Yeh aham nahi sirif Malo zar hi wapas mil jayega.
Dene se zindagi Mai khushia aur sakoon bi aa jayega.
Dene se koi bashar jaldi ameer nahi ho sakta hai.
Lekin Dene wala aksar khushhali mai hi rehta hai.
Lene Wala barhah dukhi aur gareeb rah jata hai.
Dene wala apni zindagi ma bahut skoon pata hai.
Dene wala aksar roohaniyat mai bi sabse aage badta hai.
Kynivki Dene wala apni khawashihaat Bi
kaboo mai karta hai.
Jab bi tum khud kuch Dene ka faisla dil mai karte ho.
Apni khushiyoo aur daulat ke sarmaye ka izafa bi karte ho.
Yeh bemol Hawa,Sooraj ki roshni aur kudrati wasayil jinka koi bi nahi takaza.
Ham bool jaate hai aksar ki kudrat nai hamme kitni nematoo se hai nawaza.
Tum chahte ho agar in kudrati wasayil kee keemat chukana.
Madad Karo kissi gareeb ki aur kissi ka dil na dukhana .
rkkaul.blogspot.com
No comments:
Post a Comment