Sunday, 23 February 2025

My Wanderings. 139. Urdu Ghazal 23. Daulat aur Amiri

Fark Hota hai bahut daulat mai  aur amiri Mai.   
khush  rehta hai bashar sakoon se  fakiri Mai.

Milti hai Hame daulat  sarri, zameeno ki badawlat. 
Mehnat  karta hai koi  apne  khoon aur  paseene se .
 Aur milti hai   kissi ko daulat jaddi virassat se .
Insaan zammen se leta hai bahut , wapas kuch nahi deta  hai. 
Ped aur janwar zameen ko lotate  hai barpoori  mai .
Farq Hota Hai bahut daulat aur amiri mai

Jo Kam daulat  Mai hi guzaara karta hai aur laalach nahi karta hai , woh ameer Hota Hai 
Jiske pass daulat hoti hai bahut,  Par  aur paane ki hawas rekhta  hai, woh gareeb Hota Hai.
Ikhtilaf rehta hai yakeenan  laalach  aur Saboori Mai. 
Fark Hota hai bahut daulat mai aur amiri mai.

Amiri ya  gharibi mai daulat ka bahut Kam assar hota hai.
Jis ke pass khane aur pahen-ne ke alawa chatt bi sarpar Hota hai.
Woh meri nazar Mai  duniya Mai bahut Ameer Hota  hai.
Itni Daulat jamah karna kisliye phir zaroori Hai
Fark Hota hai bahut Daulat aur amiri mai 

insaan kee amiri ka pata uski jaydad se nahi balki uske kirdaar  se lagta hai.
Koi gurbat Mai bi auroo  ki madad karne Mai yakeen rakhta hai.
Aur koi  amir  hone ke bawajood   kisi ki madad  nahi karta hai.
Koi jeeta hai iss duniya Mai sakoon se  aur koi jeeta hai majboori mai.
Fark Hota hai bahut daulat aur amiri mai.

Zyada daulat  hone Mai hi khone ka darr statata rahta hai. 
Aur jis ke pass utna hi Hota Hai  jitna darkaar hai,  woh sakoon se jeeta hai.
Koi khushhali mai jeeta  hai to koi badhhali  mai  marta hai.
Saath chalte hai insaan ke nek aamal aur yenhi rehti  daulat sarri hai.
Fark Hota hai bahut daulat mai aur amiri mai.
Khush rehta hai bashar sakoon se fakiri  mai.


















No comments:

Post a Comment