Perceptions
Monday, 31 March 2025
Friday, 21 March 2025
My Wanderings 146. My Urdu Nazam. 30.
Andhera chatega jab Sooraj ki roshni se to dunya ki har simat hogee ujagar.
Koi shay na chup sakegaee aur koi bashar na reh sakega apne aap ko chupakar.
Umed ki Kiran jagegi har aasman aur zameen ke andhar.
Har gosha e Gulzar mai, har chaman aur Gulshan ke andhar.
Koi parwana jal sakega na phir shamah ki tez low se is kadar.
Aur koi jignu dikh sakaga na udte hue aasman mai idhar udhar.
Thodi see roshni bhi bahut sara Andera mittati hai .
Aur roshni hamesha andhere ke beech mai Thaharti hai.
Jo tumko doosroo ko roshni denee hogi
To tumhe pahle khud chamakna hoga.
Tumhare andhar Jo roshni hai woh
badaakar tumhe aur damakna hoga.
Aadmi ki yehi khwahish hoti hai Andhera chodke roshni ki taraf Jaye.
Andhera hone ki wajah se hi khayal aata hai ki roshni ko kaise payee.
Har ma baap yeh Dua deta hai apne bache ko ki uska mustakbil Roshan Rahe .
Kudrat usse nawaze adab aur roshan khayali se aur woh roshani failata rahe.
Tuesday, 18 March 2025
My Wanderings 145. My Urdu Nazam 29. Dosti aur Dushmani
Apni shakhsiyat mai itna tawazun to Bana lijiye.
Dushman ko bhi gale se lagane se parhez na kijiye.
Hamesha apne dushmanoo ko maaf karte rahiye
Iss se aur zyada tum unhe pareshan na Kariye.
Dushmanoo ko nafrat karne ke liye thoda waqat zaroor deejye
Yeh karne se tum apne khilaf sarri nafrato ko khatam keejye.
Akhirkar tum apne dostoo ki batain aur unkee awaz yaad karoge.
Aur dushmanoo ki sirf khamoshi ke siva kuch bi nahi yaad rakhoge.
Dosti nibate jawo tum har mushkil aur har Soorat mai
Dushmani nibhane ki tumhe koi nahi zaroorat hai.
Dushmanoo ko dost banana abhi se sharoo kar sakte ho.
Yeh tarkeeb apna ke tum Sabi dushmano
ko fana kar sakte ho.
Zindagi ke kashmukashoo ke akhri padav par kuch thahrav dena chahiye .
Umar bar ke dushmanoo ko aage badkar dosti se sairaab karna chahiye.
Akhri waqat mai agar tum saath lekar kuch nahi ja sakte ho .
To dushmani ko saath lekar bi kya hasil kar sakte ho.
Sunday, 16 March 2025
My Wanderings 144. My Urdu Nazam 28 Mahobat aur Kamyabi
Kabi kabi dil tootna bi zaroori hai aadmi ko bandagi ke liye
Bahut lazmi hai yeh behtar banane ko zindagi ke liye.
Musalsal Kamyabiyoo se aadmi mai kabi garroor aata hai.
Nakamyabi ke thode se murakkab se fitrat mai shavoor aata hai.
Daulat hi sirf mizaan nahi hoti hai zindagi ko kamyab banane ke liye.
Aur bi bahut kuch rakha hai is duniya Mai zindagi ko shadaab banane ke liye.
Mahobat ham khareed nahi sakte hai par iski keemat chukani padti hai.
Aur judai ke baad hi hamesha mahobat ki gahrayeyan samaj mai aati hai.
Judai bi zaroori hoti hai mahobat ko parwan chadane ke liye.
Har burayi se Bachane aur Har Achayi ko aapas Mai judane ke liye.
Judai uske liye mushkil hoti hai Jo nazar se mahobat Karta hai .
Jo dil aur rooh se mahobat karta hai woh Judai se nahi darta hai.
Kuch janooni aashiqoo ki mahobat mai ajeeb si shiddat hoti hai.
Apne Mehboob ke aaspass guzarne wali Hawa se bi unhe dikkat hoti hai.
Aur ek mokka nakamyab ashkoo ko zaroor Dena chahiye.
Par iss baar yakeenan Mehboob koi aur hona chahiye.
Saturday, 15 March 2025
My Wanderings 143. Urdu Nazam 27. zindagi ke Marhale
Guzar rahi Hai yeh zindagi meree sirif
hareefoo mai.
Koi Bandha nazar nahi aatta hai ab shareefoo mai.
Sach likhne pe chadaya hai adeeboo ko saleeboo pe.
Zinda dafnaya gaya hai rafeekoo ko rakeeboo nai.
Baar hah zulum kiye hai ameeroo ne
gareeboo pe.
Ilzaam lagaya hai hardam gareeboo ne naseeboo pe.
Zeb deta nahi hai mureedoo ko sikhana murshadoo ko .
Aib Hota nahi hai Zahir koi Kitna bee nikale arshadoo ko.
Jisko ek saddi mai bekali kahte hai woh doosree saddi ki akkal hoti hai.
Jo pahle karta hai woh adda hai aur baad mai karre koi woh nakal hoti hai.
Muje piyala dene se pahle bahut Der tak sonch raha tha sakki.
Shayad woh yaad kar raha tha mera koi hissab to nahi hai bakki.
Bahut kuch seekhne ke baad apne shayaroo aur shafikoo se.
Mila saka na mai Umar bar apnee zindagi ke kafiye radeefoo se.
Vazan kuch bi Hota nahi hai dunyavi faydoo mai .
Kaafi seekh leta hai bashar apne tajrube ke kaydoo se.
Kamyabi hi sirif zindagi ka koll nahi ho saktee hai.
Khush rehna bi zindagi ko bada Mol de saktee hai.
Tuesday, 11 March 2025
My Wandering 142. Urdu Ghazal 26 Ek Phool ki Fitrat
Chaman ne phool se kaha ek din,Sambhal ke rehna bikhar na jana Hawa ke jonkoo se.
Phool ne wapas kaha ussi dam, bikharna meree fitrat hai aur kaise Hawa ko rokoo mai.
Kabhi bikharta hoo mai khusboo bankar
Hawa ke joonkoo ko apne saath lekar .
Kabhi murja ke gir jata hoo Hawa ke joonko se teree mitti ka hssa bankar.
Nav Bahar mai ubar ke aatta hoo mai
ek Naye phool kee daali bankar .
Phir Hawa ke joonke joomte hue aatte hai aur lahrate hai muje aksar.
Kabhi joolte hai muje Hawa ke jonke apnee banhoo me lekar.
Kabhi choomti hai mere honth Thandi Hawa halki see fuhaar bankar.
Kabi koi diljala Ashik tod kar muje le jata hai apni Mehboob ko rijaane ke liye.
Kabi koi dilshikasta mera guldasta banakar le jata hai apna rasookh badane ke liye .
Kabhi koi bakht le jata hai mujko mandroo mai devoo pe chadane ke liye.
Aur Kabhi koi mulla katkar mujko le jata hai makbaroo pe sajane ke liye .
Jab zinda Hota hoo to baade Saba mahkati hai meree khusboo ke hi dam per.
Aur Jab kat jata hoo kissi tahni se to insaan ke hi kaam aata hoo mai aksar.
Wednesday, 5 March 2025
My Wanderings 141. My Urdu Ghazal. 25. Dil aur Mahobat
Khoon ke ansoo peekar bi zakhme jigar chupana majboori hai
Kissi bi haalat mai insaan ko tawazun banakar rakhna zaroori hai
Baar ha chot khaye hai mere dil ne ki dil ban gaya hai ab pathar.
Mai isko chot deta hoo to yeh wapas chot karta hai aksar .
Muje pasand aatte hai woh log jinka dil
dimag se hota hai behtar.
Jo samne se hi vaar Karte hai aur peeche se na Chalate hai nashtar.
Mera dil itna bewafa Nikla ki bahut kam mere pass Tikka.
Kabhi lakhoo mai na Gaya aur kabhi kodiyoo ke baav bikka .
Log jisko dewanapan kahte hai mai us ko mahobat kehta hoo.
Dil ke hathoo majboor ho ke mai bhi bahut kuch sehta hoo.
Ab aisee kaifiyat hai dil kee, ki museebat se yeh nahi darta hai.
Har mushkil ko aasaan banane kee salahiyat ab yeh bi rakhta hai.
Jehan mahobat hoti hai wahan zindagi bi hoti hai.
Aur mahobat ke siwa yeh zindagi bahut benoor hoti hai.
Mahobat ek Jung ki tarah hi bilkul, jenab hoti hai
Jo sharoo karna hai aasaan, magar khatam nahi hoti hai.
Aur yeh mai nahi kehta hoo, kehta koi wayiz hai.
Ki mahobat aur Jung Mai sab kuch jayiz hai.
Subscribe to:
Posts (Atom)