Tuj mai Ram muj Mai Ram Jai Ram Jai Ram Jai Siya Ram
Bharat ke Kan Kan Mai hai Ram Jai Ram Jai Ram Jai Shri Ram.
Karitav nishta, dradd Nishchay aur Kiya apne maat pitta ka samman.
Naam pada jis kaaran poore bharat Mai aapko Maryada Purushottam Ram .
Tuj mai Ram muj mai Ram ,Jai Ram Jai Ram Jai Siya Ram.
Shri Ram chander ke aastitav ke bharat Mai hai prabal pramaan.
Jinme pramukh Ramsethu aur Ram janam Boomi ko mera Pranam.
Tuj mai Ram muj mai Ram Jai Ram Jai Ram Jai Siya Ram.
Jab karte hai aapas Mai ham abhinandan to kahte hai 'Ram Ram' ya 'Jai Shri Ram'.
Kitna pavan hai yeh naam , Jai Ram Jai Jai Ram Jai Shri Ram.
Tuj mai Ram muj Mai Ram Jai Ram Jai Ram Jai Siya Ram.
Jab koi vipada mai pada ho to uske munh se nikalta hai 'Hey Ram.'
Sare kaam taj ke uski vipda harne ko aate hai piyare Shri Ram .
Tuj mai Ram muj mai Ram Jai Ram Jai Ram Jai Siya Ram.
Jab desh mai uchh vevastha ho to kahte hai sab usko 'Ram Raj.'
Sabke kaaj sanwarte hai jab simhasan per baithe ho Raja Ram.
Tuj mai Ram muj mai Ram Jai Ram Jai Ram ,Jai Siya Ram.
Jab aisee avshadee mile Jo sab viyadiyoo
Ka ant kare Kahte hai usko 'Ram Bhan'.
Sab dukh aur dard mit jaate hai jab lette hai Apne Prabhu Sri Ram ka naam.
Tuj mai Ram muj mai Ram , Jai Ram Jai Ram Jai Siya Ram.
Jab koi Manav tyagta hai yeh shareer to sab kahte hai ' Satya hai Ram naam'.
Yeh pratha prachlit hai ki Ram naam lene se pahunchega woh paramdham.
Tuj mai Ram muj mai Ram , Jai Ram Jai Ram , Jai Siya Ram
Ram hi shreshta , Ram hi dreshta Ram naam hi hai Param gyan
Ram ke aastitv se hee bana hai yeh bharat varash mahaan.
Tuj mai Ram muj mai Ram ,Jai Ram Jai Ram Jai Siya Ram.
Bharat ke Kan Kan Mai Basa hai Ram Jai Ram Jai Ram Jai Shri Ram.